WHAT IS GOOGLE ADSENSE?

Mere Pyare dosto,  Google Adsense ke baare me jyada jaankari ke liye mere Google Adsesne Introduction video ko jarur watch kijiye

Google Adsense Introduction video - https://www.youtube.com/watch?v=k5OH2iHoEx4

Google Adsense Google ke dwara chalaya jaane waala program hai jiske liye koi bhi apply kar sakte hai. Google adsense me joining bilcul free hoti hai. Google ko to aap jaante hi hoge yeh dunia ke respected comapanies me se ek hai.Dunia bhar se Google adsense me Lakho-croro log join hai aur aaj accha-khasa paisa kama rahe hai. Yahi nahi Aaj ke date me Lakho log Google Adsense ke liye duniabhar se apply karte hai lekin approval keval unhi logo ko milta hai jo Google adsense ke saare term and condition ko follow karte hai.Approval nahi milne ka sabse bara reason yeh hai ki logo me Google adsense ke baare me jyada knowledge nahi hota hai phir bhi wo log bina poori jaankari ke Google Adsense ke liye Apply kar dete hai aur iska result DisApproval hota hai.Jab tak apke pass poora knowledge naa ho jaaye Adsense ke baare me tab tak Adsense ke liye nahi apply karna chahiye.

Aap Google Adsene ke liye Niche diye gaye kisi bhi tarike se apply kar sakte hai : - 

1) Apka website ya phir free blog website
2) Youtube video
3) Google Adsense Revenew Sharing website 


1) Website Ya free blog website se Google ke liye apply karna : -

Agar aapne Google adsense ke liye apne free website ya blog se Apply kiya hai aur agar apka Application Google Adsense ke dwara Approved ho jaata hai to phir aap Google ads ko apne website per placed kar sakte ho. Jab jab visitors apke website per aakar google ads ko click karte hai to apko uske badle google paisa deta hai.Dunia me sabse jyada accha Ads network google adsense hai jo apne publisher ko sabse jyada paisa deta hai click karne per.

Google ke alawa aur bhi bahut saare ads network hai lekin Google Adsense se jyada paisa koi bhi nahi deta hai.

2) Youtube ke dwara Google Adsene ke liye Apply karna : - 

Agar aap apne youtube ke madhyam se Google adsense ke liye apply kar rahe hai aur agar apka application Approve ho jaata hai to aap apne youtube video me google ads placed kar sakte hai.Jab jab log Apke youtube video ko dekhte hai aur Ads ko click ya keval watch bhi karte hai to apko Google adsense paisa deta hai.

3) Google Adsense Revenew Sharing website ke dwara Google Adsense ke liye Apply karna

Kuch aise website aur services hai jinke dwara bhi aap Google Adsense ke liye apply kar sakte hai.Yeh website apke sath Google Adsense dwara diya gaya revenue share karte hai isliye inko Google Adsense revenue sharing website kaha jaata hai.Agar apke pass apna website aur video nahi hai to aap inn website ke help se bhi Google Adsense ke liye appliy kar sakte hai.Jab aap aise website ke dwara Google Adsense ke liye apply karte hai to apko Hosted Adsense account mil jaata hai jisme aap Uss website ke dwara Google Adsense se income kar sakte hai jiske dwara apne Google Adsense ke liye apply kiya tha.Waise to bahut saare Google Adsense revenue sharing website apko mil jaayege lekin apko kuch acche website ke dwara hi Google Adsense ke liye apply karna chahiye kyuki Approval jaldi mil jaata hai.Google Adsense Revenue sharing website ke kuch apne rule and regulation hote hai jinko follow karte hue aap google Adsense ke liye apply kar sakte hai.Ek baar apko Approval mil jaata hai to phir uske baad Adsense revenue sharing website apke sath Adsense se mile Revenue ko share karte hai.Kuch Adsense Revenue sharing website ke naam main apse share karna chahuga. Yeh hai - HubPages , Squidoo, Wikinut, BloggerParty etc 


Google Dunia ki sabse respeced company hai aur sabhi logo ko jinke pass website , blog ya youtube video ho unko Google adsense ke liye apply karna chahiye.

Agar Apke pass Website aur video nahi hai to aap Google Adsense me apply karne ke liye Google Adsense revenue sharing website ka help le sakte hai.

Google Adsense Introduction video - https://www.youtube.com/watch?v=k5OH2iHoEx4

No comments:

Post a Comment