Website ko Monetize kaise kiya jaata hai ya website se kaise income kiya jaata hai?

Website ko Monetize kaise kiya jaata hai ya website se kaise income kiya jaata hai?
Dosto, kisi bhi website ko monetize karne ka matlab yeh hota hai ki aap apne website kuch aisa changing laaye jiske dwara apke webstie paisa earn kiya jaa sake ya phir apke website ko profitable banaya jaa sake aur uske dwara apne liye kuch income generate kiya jaa sake.Website ko monetize karne ke liye bahut saare tarike aur aap kisi bhi tarike ko use kar sakte hai. Kuch tarike to bahut hi easy hai lekin kuch aise tarike bhi ho kaphi muskil hai aur sath me kucy jyada costly hai.Apne website per traffic increase kar ke aap apne liye bahut accha income generate kar sakte hai.Agar apke website per traffic hai iska matlab apke liye income karne ka bahut saara raasta khud gaya hai.Agar apke website per traffic hai to aap apne website per pare hue product ke sale se paisa kama sakte ho. Agar apke website per traffic hai to aap pay-per-click advertisements se paisa kama sakte ho kyuki apke website per jyada click generate hote hai uske dwara.Agar apne affiliate product ko apne website per daala hua hai to aap uske sale se jyada se jyada paisa kama sakte ho.


1) Apne website per aisa content create kiiye jimse saare relavant keywords ho jo apke website ke topic se match kare.Aise tarike ko SEO bola jaata hai.Aaap Google ka help lekar aise content ready ready kar sakte hai jo jjsme jyada se jyada relevant keywords ho jo apne website ke topic se match kare.Apko hamesha ek baat ka khas khyaal rakhna chahiye ki apke content me grammatical mistake naa ho aur saare words ka spelling bilcul sahi ho.Apne website ka content likhte samay kabhi bhi aap kisi dusre website se content ko copy mat kijiye otherwise apko koi benefit nahi hone waala hai.

2) Google Adwords , Google adsense  aur Google analytics ke liye sign up kar ke aap apne website profit koincrease kar sakte hai : - 

a) Google adwords ek aisa service hai jisme apko paisa dena hota hai.Agar apko apne website ke traffic ko increase karna hai ya phir advertisement karna hai to aap Google adwords ke help se kar sakte ho.Lekin iske badle apko amount pay karna hota hai.Google Adwords dunia ka sabse accha advertising program hai.

b) Google adsense ek aisa program hai jisme aap apne website ke help se bahut paisa earn kar sakte ho.Iske liye apko apne website per google ads placed karna parta hai aur jab jab apke website per visitors Google ads ko click karte hai apko Google adsense me income hota rehta hai.Main khud bhi Google adsense me kaam kar raha hu aur unlimited paisa kama raha hu.

c) Google Analytics service ka use kar ke aap apne website ko track kar  sakte ho aur yeh jaan sakte ho ki apke website per visitors kaise aa rahe hai aur kaha se aa rahe hai aur apne website ko aur bhi accha bana sakte ho.


3) Apne website Url ko online directory aur search engine me submit kare : - 

Aap waise online directory aur search engine ko search kijiye jo apke website se match kar te hai aur apne website URL ko waha per submit kijiye.Kuch hi dino me aap dekhege ki apke website ka traffic increase ho jaayega kyuki search engine aur online directory me apke website conent ka indexing ho jaata hai.

4)  Sign up fo Affiliate program : - Bahut saare aise affiliate program available hai jo apke website ke profit ko increase kar sakte hai.Aap jab affiliate program me sign up karte hai to uske baad company ka kluch product ho hai jisko aap apne website per rakh kar promote karte hai.Jab jab product sale hota hai to apko company ke taraf se commision provide kiya jaata hai.Amazon aur walmart doo bahut hi famous affiliate program hai jiske join kar ke aap bahut paisa kama sakte hai.Bus apko unke website per available product ka affiliate link apne website per rakhna hota hai aur promote karna hota hai.jab jab uss affiliate link se koi bhi prodcut sale hota hai tab tab apko company uska commmision provide karti hai.Agar apke website ka traffic accha hai to aap accha income apne website se generate kar sakte hai.

5) Apne website ka advertising space sell karna : - Agar apke website ka traffic kaphi accha hai to aap apne website space ko advertising ke roop me use kar ke accha paisa earn kar sakte hai.Bahut saare company aise website ko search karte hai jinka traffic rank accha ho.Agar aap kisi bhi reputated company ka advertisement apne website per lagaate hai to apko kaphi jyada benefit mil sakta hai.

6) Aise product aur ebook ko search kijiye jo apke website per sell kiya jaa sake.Yaad rakhiye ebook ka topic apke website topic se match karna chahiye.

7) Apne website per donation button add kar ke : - Agar aap non-profit organization hai to aap apne website per donation button add kar sakte hai.Donation button add karne ke liye paypal aur other merchant se aap contact kar ke iske baare me jyada infomation le sakte hai.


-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

MY INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : how to add donation button to your website, how to use google adwords, how to monetize website,how to join affiliate program, how to join google adsense, google adsense hindi training with Abhishek Anand,how to sell ebooks from your website, how to sell affiliate product from your website,how to sell advertising space on your website,how to submit website url to online directory and search engines,how to create rich keyword content for your website

2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. sir meri website bhi blogger par hi banai hui hai theme bhi primium varsion wali use kar raha hu aur domain name bhi purchese kar liya hai par adsense se aproval nahi mil raha hai sir mera nu hai 8094292100

    ReplyDelete