Google company ke sath unlimited income kare apne ghar se bilcul free me.

Dosto, Google se to aap acche se parichit hai.Jo log bhi internet per surfing karte hai wo Google ke baare me nahi jaane aisa to ho nahi sakta hai.Aap thora bahut hi sahi lekin Google ke baare me jarur jaante hoge yeh mera yakin hai.Google ek respected company hai jo hame bahut saare free online product provide karti hai aur jiska fayda hum hamesha online lete rehte hai.for example : Gmail, youtube, Google analytic, blogger etc.Google ke pass bahut saare apne free online products hai jinka upyog bahut saare online user hamesha karte rehte hai.Main bhi bahut saare Google products ka use karta hu. For example blogger, youtube, analytic, webmaster etc.


Main apko aaj ek aise opportunity ke baare me bataane jaa raha hu jiske dwara aap easily Google jaise respected company ke sath online paisa kama sakte hai aur uske liye apko kahi per bhi jaane ki jarurat nahi hai balki aap apne ghar se hi Google dwara unlimited paisa kama sakte hai.Google company ka ek program hai jisko Google Adsense bola jaata hai jo kaphi saalo se Google company ke dwara chal raha hai aur aap easilily Google Adsense ke dwara unlimited earning kar sakte hai.

Waise to aap Google Adsense ke dwara bahut saare tarike se paisa kama sakte hai lekin abhi 2 tarike bahut hi famous hai : -

a) Website ya free blog ke madhyam se
b) Youtube ke madhyam se

Actually Google company ke pass bahut saare advertiser ke product ka bahut saara ads hota hai jiske liye Advertiser Google company ko bahut saara paisa pay karte hai.Google ka kaam hota hai ki unke product ko ads ke madhyam se promote karna taaki advertiser ke product ka sale jyada se jyada ho sake.

Ab Google ne humlogo ko free me ek opportunity provide kiya hai  jiske madhyam se wo saare log apply kar sakte hai jinke pass khud ka website , blog ya youtube channel hota hai. Iss opportunity ko Google Adsense bola jaata hai.Google Adsense program ke kuch apne policy hote hai jo bhi person inke policy ko follow karta hai unko Adsense ka approval mil jaata hai.Yaad rakhiye apka website kuch iss prakar se bana hona chahiye taaki wo Google Adsense program ke saare policy se comply kar sake tabhi apko Google Adsense se approval mil paata hai aur aap Google company se earning kar paate ho.

Google Adsense se approval milne ke baad aap apne Adsense account se Ads code create kar ke apne website placed kar sakte ho aur uske baad apke website per Google Ads show hona start ho jaata hai.Jab jab apke website visitors Google ads ko click karte hai revenue generate hota hai aur apko revenue generation ka ke bara bhaag Google Company ke dwara provide kiya jaata hai.Apke website ke per jitna jyada traffic hota hai utna jyada click generate hota hai aur utna jyada apko earning karne ka mauka milta hai.


Thik issi prakar se youtube ke sath bhi hota hai.Agar apke pass youtube channel hai aur usme accha channel view hai to aap Google Adsense ke liye apply kar sakte hai aur ek accha earning apne youtube video ke madhyam se kar sakte hai.Ek baar approval milne ke baad apke youtube video per Ads aana start ho jaata hai aur aap apne video visitor ke dwara Google Adsense se earning kar sakte hai.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : income from google company,you can earn from google company,online google company income,learn about google income,google adsense hindi tutorial

No comments:

Post a Comment