Google Adsense phone verification se related kuch frequently asked question (FAQ)

Google Adsense phone verification se related kuch frequently asked question (FAQ)Adsense Application ko verify karne ke liye Google kyu aapse phone number ka demand karta hai : - Koi hamaare system ko abuse naa kare iske liye jaruri hai ki Google uska verification kare.Bahut saare aise log hai jo Google system ko abuse karna chahte hai jiske chalte Google ko apne saare user ka verification karna parta hai aur verification ke liye phone number ka verification jaruri ho jaata hai kyuki sabhi ke pass aaj kal khud ka mobile number hota hai.Phone number se related kuch frequently asked question hai jo niche diye gaye hai : -

a) Google’s use of this phone number – Google apka phone number isliye verify karta hai taaki aapka account secure rahe.Aap jo bhi contact preference apne adsense account me select karte ho uske dwara Google apne important message aap tak pahuchaane ke liye apke phone number ka use kar sakta hai.Aapka phone number apke google account me verified number ke roop me save rehta hai.


b) cost of text messages or calls  - Aapke country ke according, jo message aur calls aap google system se receive karte ho uska charge lagta hai.Message aur calls ka charge aapke plan aur provider ke according vary karta hai.Iske baare me poori jaankari ke liye aapko apne mobile phone provider se contact karna chahiye.

c) Text message delivery is slow – Aapke country ke infrastructure ke according sms message receive karne me delay ho sakta hai.Agar message kaphi der se aapke mobile per pahuch  raha hai to aap ko call ka option verification ke liye choose karna chahiye.

d) Supported carriers – Bahut saare mobile carriers Google ke text message ko support karte hai.Agar aapka carrier google ke message ko support nahi karta hai to aapko voice call option select karna chahiye ya phir aap dusra number use kar sakte hai jo Google text message ko support karta ho.

e) Text message or voice call verification doesn’t work – Agar aapne text message aur voice call dono option kiya hai aur dono thik se work nahi kar rahe hai to aapko niche diye gaye steps follow karne chahiye : -

1) Agar aap mobile phone use karte hai to aapko phir fixed line phone use karna chahiye

2) Aap ko yeh confirm karna chahiye ki aap dusre logo ke mobile se apne mobile per sms aur call receive kar paa rahe ho.

3) Jo mobile aap use kar rahe ho usme aap ensure karo ki strong signal hai jab aap verification code ke liye apply karte ho.

4) agle din verification ke liye phir se try karo


5) Dusre supported carrier ko use karo

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : some adsense phone verification frequenty asked question,some problems recieving phone verification code in mobile phone,verification code for adsense mobile,some common problem in phone verification for adsense,google adsense hindi training

No comments:

Post a Comment