
Google ke sahi department ko contact karna
a) Agar apka account lock ho gaya hai to aap account
recovery tool ka prayog kar sakte hai.Agar aap apne account ka password bhool
chuke hai to aap account recovery tool ka upyog kar sakte hai aur apne password
ko reset kar sakte hai.Agar aap ne account banate samay mobile number aur
recovery email address add nahi kiya tha to apko ek form submit karna parta hai
taaki Google team apke identity ko verify kar sake.Yaha per koi bhi direct
contact nahi hai jis se baat kar ke aap apna problem solve kar sake.Account
recovery ka saara process fully automated hai.
b) Apna question aap Google Product forum me bhi pooch sakte
hai.Yaha per bahut hi difficult hai ki aap real person se phone per baat kar ke
apne problem ko solve kar sake.Apke sahuliyat ke liye yaha per apko Google
product forum diya gaya hai jaha per aap apne question ko pooch sakte hai aur
real person apke question ka jawab deta hai.Yaha per Google ke sabhi product ke
liye alag-alag product forum bana hua hai jaha per aap apne Google product se
related question ko pooch sakte hai.yaha per jyadatar apke question ka jawab
Google Employee ke dwara diya jaata hai.
Google Employee ke alawa yaha per bahut saare contributor
hote hai jo apke sawaalo ka jawab dete hai.Yeh contributor Google employee ke
direct contact me rehte hai.Question poochte samay apko poora details add jarur
karna chahiye taaki apke question ka jawab dene me pareshaani naa ho.Yaad
rakhiye question poochte samay koi bhi personal information share naa kare.
c) Google product ke support information ko check karna :
Google ke bahut saare product hai.Saare products ke support karne ka tarika
product per depend karta hai.Adsense,Drivek, My business, wallet and android
wear naam ke product ka direct phone support available hai.Iske liye aap apne
product ko select kijiye aur support page per jaaye.Waha per apko “contact us”
naam ka link mil jaayega jisko click kar ke aap direct uss Google product ka
phone support prapt kar sakte hai.
Bahut saare Google products for example gmail,
youtube,chrome, google+ etc ka help lene kel liye automated form bane hue jiske
dwara aap help le sakte hai.Sath hi aap aise product ke liye product forum se
bhi help le sakte hai.
-----------ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE
ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE
ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE
LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE
APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
tag : how to contact google, google adsense training, contact google adsense through phone,google adsense contact number in India,India Google adsense address, address of google adsense branch in India, Google Adsense Hindi training,Adsense support forum for Indian
No comments:
Post a Comment