Agar aap Adsense for
content ke liye apne website per Google Ads ko rakhte hai to uske badle Google
aapse 68% revenue share karta hai.Iska matlab yeh hai ki Adsense for content se
Google ko jo bhi revenue milta hai uska 68% Google website publisher me
distribute kar deta hai.
Adsense for search
ke liye Google 51% revenue share publisher ke bich karta hai.iska matlab yeh hai
ki Adsense for search se Google ko jitna bhi revenue milta hai uska 51% Google
unn publisher me distribute kar deta hai jo apne site per Adsense for search ko
use karte hai. Yeh percentage bilcul consistent bana rehta hai chahe publisher
kisi bhi geographical location me rehta ho.Other Adsense product ke revenue
share ke baare me Google kabhi bhi disclose nahi karta hai.Different product ke
revenue share alag-alag ho sakte hai kyuki unko develop aur support karne ka
cost bhi include time to time karna parta hai jo ki consistent nahi hota hai.
Aap apne Adsense
account me revenue share ko check kare sakte hai.Niche diye gaye steps follow
kare : -
a) Apne Adsense
account me login kare
b) Gear icon ko
click kare aur “setting” option ko select kare
c) Sidebar me
“account” ke under “account information” ko click kijiye
d) Yaha per “account
information” section me aap active product ke revenue share ke baare dekh sakte
hai.
Google maanta hai ki
iska revenue share bilcul competitive hai.For example : Apke website per jo
Google ads hai agar wo $100 revenue generate karte hai to usme se Google apko
$68 provide karega Adsense ke madhyam se.Other Ad network apne publisher ko 80%
revenue share provide karte hai lekin wo advertiser se keval $50 hi collect
karte hai jiske chalte aapko $40 hi mil paata hai.
Chuke Adsense ke
pass bahut bari sankhya me Advertiser available hai isliye apke site per
targeted ads bahut jyada appear ho paate hai aur aapke jyada earning chances
bhi badh jaate hai.
-----------
ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE
ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE
ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE
LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE
APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
tag : adsense revenue sharing, what is adsense revenue sharing,how google distribute revenue share,adsense for content revenue share,adsense for search revenue share,adsense for mobile revenue share, adsense for feeds revenue share, adsense for game revenue share,google adsense hindi tutorials,adsense hindi training with Abhishek Anand
No comments:
Post a Comment