Login protected page per Google Ads kaise display kare?

Login protected page per Google Ads kaise display kare?Dosto, Jaise hi aapka Adsense application approved ho jaata hai aap login protected page per bhi Google Ads display kar sakte hai.Iske liye aapko Crawler login setup karna parta hai.Crawler login create kar ke aap Adsense crawler ko login protected page ko access karne ka authority provide karte hai.

Aisa karne ke liye aapko apne site ka login details dena parta hai sath hi apne site ko search console aur dusre webmaster resources ke dwara verify karna parta hai.Niche diye gaye steps ko follow kare : -


a) Adsense account me sign in kare

b) Gear icon ko click kar ke setting me jaaye

c) sidebar me “Access and authorization” ko click kare aur phir “crawler access” ko click kare

d) “crawler access” section me “Add a login” ko click kare

e) Yaha per login details provide kare apne site ka taaki Crawler aapke site ko access kar sake.

Iske liye aapko niche diye gaye information provide karne hoge : -

i) Restricted directory or URL – Yaha per wo Url provide karna hai jo Crawler access karne ke liye restricted kiya gaya hai

ii) Authentication url – yaha per wo Url provide karna hai jaha per Crawler sign in karega.

iii) Authentication method – yaha per wo method aapko provide karna hai jinko user login karne ke liye use karege site me.Waise Post aur Get Commonly use hone waale authentication method hai.

iv) Parameters – Yaha per wo credentials provide karna ho jo user login karne ke liye use karte hai ( for example : site ka username aur password)

f) Google Account ke dwara phir search console me login karna hai.Aapko Google account me login karna jaruri hai taaki aap search console me jo bhi change kare wo aapke Adsense account reflect ho sake.

h) Apne account me sites ko Add kare.Yeh wo sites hai jisme aap chahte hai ki Crawler access kare.

i) Saare instructions follow karne ke baad aap next page per “verify your site” ko choose kare.

Diye gaye instruction ko follow kar ke aap apne site ko verify kare.Jab aap apne site ko verify kar lete ho to jo login details aapne provide kiya hai uske dwara Adsense crawler aapke site me login kar ke access kar paayega aur aapke site per targeted Ads display kar paayega.


Main asha karta hu ki aap acche se samajh chuke hai ki login protected page per Google ads kaise display karte hai.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : google ads on login protected page,how to display google ads on login protected page,how to add crawler login in adsense,video tutorial about display google ads on login protected page,full information about displaying google ads on login protected page,what is login protected page, how to handle login protected page in Adsense,how adsense crawler access login protected page

No comments:

Post a Comment