
Method – Youtube Partner program ko samajhna
a) Ad Revenue ke baare me sikhe : - Youtube partners apne
video ko monetize kar sakta hai aur uske badle apne videos se hone waalre ad
revenue ko receive kar sakta hai.Aap Youtube partner program me tab tak
enrolled reh sakte hai jab tak apka 1 video bhi monetized rehta hai.Youtube
partnership ke liye koi application ki jarurat nahi hoti hai.Jab jab apka video
play kiya jaata hai usme ek ads display hota hai aur jab log usko watch ya
click karte hai to apko uske badle Ad se generate hone waale revenue ka kuch
percentage de diya jaata hai.
b) Youtube hame bahut saare tools provide karta hai jiske
dwara aap apne videos ke analytic ko check kar sakte hai aur jaan sakte hai ki
apka video kaise perform karta hai aur kitne log ads ko click kar rahe hai aur
kis type ke ads apke video per aa rahe hai aur uss se hone waala benefit kiya
hai.Yahi nahi aap apne video ko Google+ hangout ke help se live create kar
sakte ho.
c) Apne subscriber ke dwara reward lena : Jab youtube me
apke subscribe ki sankhya 100,000 ho jaati hai to apko framed silve “play
button” mil jaata hai jasper youtube logo aur user ka naam likha hota hai.Jab
apke subscriber ka sankhya 1 million ho jaata hai to apka button Gold me
convert ho jaata hai baaki sabkuch waisa hi rehta hai.
d) Youtube partner program ke saare terms ko follow kare
: - Koi bhi video banana se pehle aap
youtube partner ke saare term and condition ko read kar le kyuki agar apka
video isko follow nahi karta to apke youtube monetization ko khatam bhi kiya
jaa sakta hai.
Methods 2 of 3 : Video ko monetize karna
a) Apne yotuube account ko monetization ke liye enable karna
: - Apne youtube account ko monetize karne ke liye apka account good standing
me hona bahut jaruri hai.Iska matab hai ki aap kisi bhi youtube monetization
guideline ko violate naa kare aur koi bhi copyright video ko upload naa kare.
Apne youtube account me login kare aur “feature” option me
jaaye aur waha per “Enable” ko click kare jiske dwara apka youtube monetization
enable ho jaayega.Iske liye apko Youtube ke saare terms ko read aur agree karna
hoga.
b) Youtube me aap jis video ko bhi monetize kate hai usko
sabse pehle review kiya jaata hai aur uske baad hi usper ads display hona start
hota hai.Video upload karne se pehle kuch baato ka khyaal rakhe : -
i) Aapne apne video me jo music,images and text ka upyog
kiya hai wo apke khud ke hone chahiye.
ii) Apke video me jo bhi content apka naa ho uska apke pass
written permission hona chahiye.For example : agar apke video me jo music apne
use kiya hai wo apka nahi hai to music owner se apko written permission hona
chahiye ki aap apne video me uss music ko use kar sakte hai.
iii) Apka video Youtube ke saaare community guideline ko
follow karna chahiye.Sexually explicit content , gratuitous violence, shock
videos, hate speech etc type video ko upload nahi karna chahiye.
c) Apke puraane video per ad enable karna : - Agar apne
pehle se video upload kiya hua hai to aap usme ads ko enable kar sakte hai.Iske
liye kuch steps follow kare : -
i) youtube me login kare aur video manager option me jaaye
ii) jis video me ads enable karna hai usko search kare
iii) video ke aage apko “ $” ka sign milega jisko apko click
karna hai.Iske baad monetization tab open ho jaayega.
Iv ) waha per “Monetize my video” option milega jisko check
kar dena hai
v) Waha per ads ke kuch format milege jo apke select karna
hai apke jarurat ke according. For exaple : - Overlay in-video , trueview
in-stream and standard in-stream ads
vi) Uske baad “save changes” option ko click kar ke save kar
dijiye.Iske baad apka video review process me chala jaayega.Agar apka video
youtube ke saare term aur condition ko follow karega to usper apne-aap ads
display hona start ho jaayega.Ads display hone me kuch time lag sakta hai
d) New videos per ads enable karna : - uper diye gaye steps
ko follow kar ke aap naye video per bhi ads enable kar sakte hai.
e) Ek Adsense account creat kare : - Youtube partner program
ke dwara payment receive karne ke liye apke pass ek Adsense account hona bahut
jaruri hai.Adsense account ke liye apka age kam se kam 18 hona chahiye aur apke
pass ek valid ghar ka address hona chahiye.Niche diye gaye kuch steps follow
kare : -
i) channel setting me jaaye aur waha per “Monetization tab”
ko click kare. Waha per ek option hoga “ how will I be paid?” usko select
kare.Uske baad “ Associate the adsense account” option ko click kare.
ii) Uske baad Adsense site open ho jaayega aur apko apne
Adsense account details daalne ko kahega.
iii) Waha per apko apne correct billing information add
karna hoga.Bina correnct billing information ke Adsense apko payment nahi
provide karega.
iv) Agar apak age 18 se kam hai to aap apne parent ke
Adsense account se earning kar sakte hai aur apke behalf me apke parent payment
receive karege.
Method 3 of 3 : Ad payment ko receive karna
a) Apna tax information add kare : - Jo log US se
belong karte hai keval unhi logo ko apna tax information add karna jaruri hota
hai.Jab aap minimum $10 earn kar lete hai tab apko apna tax information add
karna jaruri hota hai.
i) Apne Adsense account me login kijiye uske baad “Account
setting” page me jaaye.Uske baad “payment setting” section me jaaye.Waha per
“update tax information” option ko click kare. Jo bhi jaruri information hai
waha per enter kare.
b) Apne payment address ko verify kare : - Jab aap Adsense se minimum $10 earn kar
lete hai tab apko apna Address verify karna hota hai. Youtube apke ghar ke
address per ek PIN send karta hai jisko apko apne Adsense account me enter
karna hota hai aur uske baad hi apna ghar ka address verify ho paata hai.
c) Payment method ko select kare : - Aap apne payment method
ko select kare.Different countries me alag-alag payment method se aap payment le
sakte hai.Abhi presently India
me Wire transfer ke dwara Adsense apko payment send karta hai jo 1 week ke ander
apke bank account me pahuch jaata hai.
d) Select payment threshold - aap apna payment threshold select kare.Defaul
payment threshold $100 hota hai.Threshold ka matlab hota hai ki kitna earning hone
ke baad aap apna payment Adsense se lena chahte hai.Iska matlab aap Google adsense
ke batate hai ki mera earning falaana ho jaayega to aap mere payment ko send kar
de.Aap Threshold me apne jarurat ke mutabik koi bhi amount select kar sakte hai
jo available ho.
Google Adsense step by step Hindi training ke liye aap mere Hindi Google Adsense training DVD ka help le sakte hai.
Google Adsense step by step Hindi training ke liye aap mere Hindi Google Adsense training DVD ka help le sakte hai.
-----------
ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE
ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE
ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE
LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE
APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
tag : how to become a youtube partner, youtube ads type, how to monetized your youtube videos,video tutorial about monetized video,step to monetiz youtube video,google adsense video tutorial,adsense hindi training with Abhishek,Seo training in Hindi, youtube monetization ads type
No comments:
Post a Comment