Yaha per main kuch tips apko de raha hu jo aapke Adsense
earning ko increase karne me jarur help karega.Bahut saare log aise hai jo
Adsense ko apne main source of income ke roop me use karte hai.Aapke liye mera
yeh article kaphi helpful saabit hoga.
a) Adsense ko apne content ke sath mila de
Jab aap apne website per Adsense ads ko rakte ho to apko iss
baat ka khaas khyaal rakhna chahiye ki apka Adsense ads apke website content ke
sath mil jaaye taaki logo ko aisa naa lage ki yaha per koi ads hai.Apko apne
adsense ke color aur background ko kuch aise choose karna chahiye taaki wo apke
site content ke sath mixed ho jaaye aur kisi ko pata naa chale ki yeh adsense
ad hai.Aaj kal people Ads ko avoid karte hai aur click nahi karte isliye hame
kuch aisa karna chahiye ki Ads hamare content ke sath mix hi ho jaaye.
Agar aap chahte hai ki apke ads ko bahut saare log click
kare to Ads ko jitna ho sake content ke sath mix karne ka kosis kare.
b) Url ke color ko change kare : - Google ke policy ke
according aap Ads ke url ko invisible nahi kar sakte hai.Accha yeh rahega ki
aap Adsense URL ke color ko bilcul site content ke color ke tarah select kare
taaki yeh Url ke tarah naa dikhe.
c) Border ko hataana : - Adsense ads ke border ko apne site
ke background color ke tarah select kijiye taaki Adsense ads ka border visible
naa ho.Agar Ads ka border nahi dikhega
to iss se apka Ads apke site content ke sath mix ho jaayega aur uske click hone
ke chances badh jaayege.
d) Adsense account se sahi type ke ads choose karna : -
Waise to bahut saare Ads type adsense account me available hai lekin 728x90
(leaderboard) ka use kaphi jyada hota hai.Agar aap Adsense beginner hai to apke
liye yeh ads type kaphi useful hoga. 728x90 ko aap apne website ke top per rakh
sakte ho.
728x80 (leaderboard) ko apne site content ke bich me bhi
rakh sakte ho.Aisa karne se yeh apke site content ke sath blend ho jaayega.Site
ke footer me Adsense ads ko rakhne se koi fayda nahi hoga.Bahut kam user hai jo
site ke footer section ko visit karte hai.
Agar apke site me space ki kami hai to aap 468x60(banners)
aur 234x60(half-banners) ke baare mi vichar kar sakte hai.Aap inko top ya site
content ke bich me rakh sakte hai jaisa ki leaderboard.Aap apne different types
ke ads ke sath experiment kar sakte hai aur jiska bhi result accha ho usko apne
website per rakh sakte hai.
Main to apko yahi boluga ki 468x60(banners) ko avoid kijiye
kyuki bahut saare log iske baare me jaante hai aur yeh apne Ads hone ko chipa
nahi sakta hai.
Mere experience se 336x280 (large rectangle) kaphi accha ads
type hai kyuki isko jyada click milte hai.Iska reason yeh hai ki yeh easily
apke site content ke bich blend ho jaata hai aur click hone ke chances bahut
jyada badh jaate hai.
Agar aap apne website ke sidebar me ads ko rakhna chahte hai
iske liye best size waale ads hai 160x600(wide skyscraper), 120x600
(skyscraper) aur 120x240 (vertical banner). Yeh bahut popular ads size hai
jisko jyada se jyada website owner use karte hai kyuki click hone ke bahut
jyada chances badh jaate hai.
e) Jyada ads ko apne website per naa rakhe :- Apne website
per jyada ad unit ko naa rakhe kyuki jyada ads hone se log apke website pasand
nahi karte aur jyada time tak apke website nahi rehte hai.Unke dobara visit
karne ke chances bhi kam ho jaate hai.Website per keval itna ads rakhe jis se
apke website ki sundarta kharab naa ho. Website ko machli market banaane se koi
fayda nahi hoga.Log hamesha acche content waale website ke taraf attract hote
hai naa ki Ads ke taraf.
f) Fold ke uper ads ko rakhe : - pehle yeh jaan lijiye ki
above the fold ka matlab kya hota hai.Jab aap kisi bhi website ko open karte
hai to sabse pehle apko site ka jo portion dikhta hai usko ‘above the fold’
kaha jaata hai.Apke site visitors jyada samay fold ke uper hi bitaate hai
isliye Fold ke uper Ads ko rakhna kaphi beneficial hota hai aur waha per click
hone ke jyada chances hote hai.Ads ko rakhne ke liye yeh ek perfect place hai.
-----------
ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE
ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE
ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE
LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE
APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
tag : how to increase adsense earning, increase adsense earning tricks,adsense earning tricks,google adsense hindi training
No comments:
Post a Comment