Dosto, Site authorization Google Adsense ka ek optional feature hai
jiska upyog aap kar bhi sakte ho aur nahi bhi.Site authorization feature ke
dwara aap apne kuch khaas site ko Google Ad code use karne ke permission dete
ho.Agar aapko lagta hai ki koi aapke Adsense ad code ka galat use kar sakta hai
to aise case me aapko Google Adsense ke “site authorization” feature ka use
karna chahiye precaution ke taur per.
Site authorization feature ke dwara aap kuch khaas sites ko
Google Ads show karne ke liye authorized kar sakte ho.
Authorized sites option ko use karne ke liye aap niche diye
gaye instruction ko follow karo :-
a) Adsense account me sign in karo
b) Gear icon ko click karo aur setting me jaao
c) sidebar me “access and authorization” ko click karo
d) “Only allow certain sites to display ads for my account”
option ko check karo
e) jis website ko aap authorize karna chahte ho usko one by
one enter karo
Aapne jo yeh change kiya hai wo 48 hour me effected ho
jaayega.
What happens to sites I don’t authorize : - Agar koi website
per Adsense ad code placed kiya gaya hai aur wo google ads bhi show kar raha
hai lekin wo aapke authorized sites me add nahi hai to aise case me uss website
ke dwara aapko koi earning nahi hota hai.Haan uss website ke saare click aur
impression jarur record hoge per earning bilcul nahi hogi.Agar aapne site
authorization feature activate kar ke rakha hai to yeh jaruri hai ki jis
website per aap Google ads show karna chahte ho wo website Site authorization
list me add ho.
Agar site authorization feature enable nahi hai to aapko
saare website se earning hoga jis per aapne Adsense ad code place kiya hua hai
aur jinper Google ads show ho raha hai.
-----------
ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE
ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE
ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE
LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE
APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
tag : Adsense sites authorization,adsense site authorization feature,know about adsense site authorization,video tutorial about sites authorization in adsense,how to add sites in Adsense authorized sites option, how to work with adsense site authorization option,how many sites i can add in Adsense site authorization option
No comments:
Post a Comment