Google Adsense account cancel kaise hota hai?

Google Adsense account cancel kaise hota hai?Agar aap Adsense account ke administrator hai tabhi aap Adsense account ko cancel kar sakte hai.Cancellation ke samay aap apna final adsense payment 90 din ke ander paate hai.Mera kehne ke matlab hai jo bhi aapka pending payment hota hai.Adsense account cancel karne per aapka pending payment aapko tabhi milta hai agar aapka balance cancellation threshold se jyada ho.Agar aapka pending balance cancellation threshold se kam hota hai to aapko koi payment Google issue nahi karta hai.Aapke jaankari ke liye bata du ki agar aap Indian publisher hai to cancellation threshold $10 hota hai.Matab Adsense account cancel karte samay apka minimum balance $10 hoga tabhi aapko Google payment karega.


Agar aap temporarily Adsense ka participation cancel karna chahte hai to iske liye aap simply Adsense code ko apne website se remove kar sakte hai.iss se Aapke website per Ads show hona band ho jaayega.Iss se aapka Adsense account active bana rahega aur aap future me isko use karne ke baare me soch sakte hai.

Apne Adsense account ko cancel karne se pehle aapko kuch baato ka khaas khyaal rakhna chahiye : -

i) Cancel karne se Adsense code work karna band kar dega isliye aapko apne website se saare Adsense code remove kar lena chahiye.

ii) Agar aapne dusre logo ko apne Adsense account me Email ke dwara login karne ka authority diya hua hai to wo Adsense account cancel hone ke baad aapke Adsense account me login nahi kar paayegae isliye aise condition me aapko apna Adsense accont cancel karne se pehle unn saare logo ko apne Adsense account se one by one remove kar dena chahiye.

iii) Agar aapka Adsense balance cancellation threshold se jyada hai to Adsense account ko cancel karne se pehle aapko apne adsense account se saare payment hold remove kar dena chahiye aur yeh bhi dhyaan rakhna chahiye ka aapka adsense account payment ke liye eligible ho.

iv) Agar aap apne Adsense account ke saare report save kar ke rakhna chahte ho to aapko Apne addsense account se CSV format me save kar ke rakhna hoga wo bhi Adsense account cancel karne se pehle.

Adsense account ko permanent cancel karne ke liye niche diye gaye steps follow kare : -

a) Adsense account me sign in kare
b) Gear icon ko click kare aur setting me jaaye
c) “Account information” section me “cancel account” ko click kare
d) “Cancel account” page me saare information ko review kare

Agar aapka Adsense account final payment ke liye saare requirement ko poora kar raha hai to niche diye gaye instruction ko follow kare : -

a) Adsense account ko aap kyu cancel karna chahte hai uska reason aap Drop-down list se choose kare.

b) Jo information waha aapko provide kiya gaya hai usko confirm karne ke liye check box ko select kare saath hi Adsense ke saare term and condition ko bhi accept kare.

c) “Continue” ko click kare.Ek cancellation request ka email aapke diye gaye email id per chala jaayega.

Agar aapka Adsense account final payment ke liye sabhi requirement ko poora nahi kar raha hai aur aapka account balance cancellation threshold se kam hai to niche diye gaye instruction ko follow kare : -

a) Check box ko select kar ke confirm kare aapka koi bhi outstanding payment nahi diya jaayega.

b) Adsense account ko cancel karne ka jo bhi reason hai usko drop-down list se select kijiye.

c) Jo bhi information aapko provide kiya gaya hai usko confirm karne ke liye check box ko select kare aur Adsense term and condition ko bhi accept kare.

d) “continue” ko click kijiye.Ek cancellation mail request aapke mail per chala jaayega.

Agar aapka Adsense account final payment ke Saare requirement ko poora nahi karta hai aur aapka account balance Cancellation threshold se jyada hai to niche diye gaye instruction ko follow kijiye : -

a) “Requirements” section me jo bhi issue hai usko sabse pehle fix kare.Saare issue ko fix kiye bina aap apne Adsense account ko canel nahi kar sakte hai aur naa hi apne pending adsense balance ko hi receive kar paayege.

b) Ek baar jab aap saare issues ko fix kar lete hai to aap phir se cancellation process ko repeat kar sakte hai.

v) Jab aap cancellation mail ko receive kar lete ho to aapko email me diye gaye link ko click karna chahiye taaki Adsense account ke cancellation process ko complete kiya jaa sake.Aap dekhege ki “account cancellation” page per aapko suchna milega ki aapka Adsense account successfully cancel kar diya gaya hai.Agar aapke Adsense account ke sath dusre Administrator bhi Associate hai to unko bhi Email ke dwara notification milega ki Adsense account ko cancel kar diya gaya hai.yaad rakhiye ek Adsense account ka ek se jyada administrator ho sakta hai.

Agar aap phir se Google Adsense me participate karna chahte hai to aapko phir se new application ek naye email id se submit karna hoga jis se aapne pehle kabhi bhi Adsense ke liye apply nahi kiya tha.


Mujhe asha hai ki aapko mera yeh article pasand aaya hoga.Latest Google adsense information ke liye aaj hi subscribe kijiye.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : google adsense account cancellation procedure, how to cancel Adsense account,can i cancel adsense account,payment after cancellation adsense account,video tutorial about cancellation adsense account

No comments:

Post a Comment