Tax Identification Number (TIN) verification process – Google Adsense

Tax Identification Number (TIN) verification process – Google AdsenseGoogle periodically publisher ke tax information ko United states Internal revenue service (IRS) ke sath verify karte rehta hai.Iss reviews ke samay IRS generally aisa bol sakta hai ki aapke account ka tax information inaccurate ya out of data hai.Aise case me Aapke payment ko hold per rakh diya jaata hai aur aapko dobara tax information submit karne ke liye kaha jaata hai. Yaad rakhiye yeh bahut hi jaruri step bhai taaki IRS ke dwara koi legal action naa liya jaaye.

Niche kuch maine possible reason bataaye hai jiske kaaran aapke tax information ko Flagged ya out of date kiya ja sakta hai : -

i) TIN missing hai ya TIN 9 digit numeric nahi hai
ii) Jo TIN aapne enter kiya hai wo currently issue nahi hua hai
iii) TIN aur naam ka combination IRS ke record se match nahi ho raha hai
iv) TIN matching request invalid hai


Agar aapka adsense account hold per hai to uper diye option iska reason ho sakte hai.Aapko phir se tax information ko submit karna chahiye taaki aapke Adsense account se hold remove kiya jaa sake.Aapka payment tab tak hold per rahega jab tak aap tax information ko dobara submit nahi kar dete.TIN verification ke jyada jaankari ke aap kindly IRS ke website ko visit kare.


Security aur privacy ke karan Google publisher ke tax information ko edit ya input nahi kar sakta hai.Yahi nahi publisher dwara submit kiye gaye tax information ko Google verify bhi nahi kar sakta hai.Agar aapka Adsense account ek se adhik baar tax issue ke chalte hold per chala gaya hai to aapko jald se jald IRS se contact karna chahiye taaki future me aapko aisa problem naa aaye.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : how to verify tin,verify tin,tin verification process,video tutorial about verifying tin

No comments:

Post a Comment