Publisher Question - Not receiving pin verification mail

Explanation – Maine Delhi , India me rehta hu.Main 1 year se apne Adsense PIN ko receive nahi kar paaya hu.Main har 5-6 month me apna address change karta hu.Maine apna last addres (3rd attempt) apne PIN verification ke liye provide kiya tha lekin abhi 70 days ho chuke hai aur PIN mujhe nahi mila hai.Ab mere website per ads bhi appear hona band ho gaya hai.Mere office building phir se change ho gaya hai.Mujhe pata nahi hai ki ab mujhe kya karna chahiye?Maine apne bank statement ka scan copy submit kiya tha lekin usme bhi different address mention kiya hua hai.Mere id proof me bhi different address mention hai.Mujhe kya karna chahiye?

 

Answer by Abhishek Anand – Dear friend,Apke question se hi pata chal raha hai ki yeh saari galti apki khud ki hai.Agar 3rd attempt ke baad bhi apko PIN nahi mil paata hai to waise condition me aap apne government se issue id card ko upload kar sakte hai.Sabse pehle aap apne id per diye gaye address ko apne adsense account me update kar lijiye aur uske baad apna id proof Adsense account me upload kar lijiye.Mujhe biswas hai ki apka PIN verification complete ho jaayega.Lekin aapne kuch bhi aisa nahi kiya.Aapne bank statement to upload kar diya lekin bank statement waale address ko aapne apne Adsense account me update nahi kiya jiske kaaran se apko yeh problem ho raha hai.


 


-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : Adsense pin not recieved, what have i to do if not recieved adsense Pin,google adsense hindi training, adsense pin not recieved issue

No comments:

Post a Comment