Explanation – Maine apne youtube channel ko monetize karna chahta tha.Iske liye maine naye Adsense account ke liye apply kiya.Mere se Website address poocha gaya.Mere pass ek website tha jiska address maine enter kar diya.Baad mere Adsense application ko reject kar diya gaya aur mujhe message mila “Not enough text on the site”. Main iss baat se agree hu mere site per jyada content nahi tha.Mujhe keval apne youtube video ko monetize karna tha.Mujhe baad me pata chala ki mujhe apne youtube channel ko Adsense se link karna tha lekin maine aisa nahi kiya.Ab jab main phir se youtube ke madhyam se Adsense ke liye apply kar raha hu to mujhe same message mil raha hai “ not enough text on site’.Main apne adsense application se diye gaye site address ko bhi nahi change kar paa raha hu.Main kya karu?
Answer
by Abhishek Anand – Dear friend, aapne starting me hi galti kar diya hai.Apko
actually apne youtube channel ko keval monetize karna tha.iske liye apko apne
youtube channel se Adsense ke liye apply karna chahiye tha lekin aapne apne
website ke madhyam se apply kiya jiske chalte apka Adsense application reject
ho gaya hai.Main apko bata du ki Adsense application me diye gaye site ko aap
change nahi kar sakte hai.Aap keval apne site me sudhaar karke re-submit kar
sakte hai.
Agar
aap keval apne youtube channel ko monetize karna chahte hai to apko naya google
account banana chahiye uske baad apne youtube channel ke madhyam se Adsense
account ke liye apply karna chahiye.Sabse pehle aap apne youtube account ko
verify kijiye aur uske baad Adsense ke liye application submit kijiye keval aur
keval youtube ke madhyam se.
-----------
ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE
ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE
ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE
LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE
APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
tag : how to apply for adsense through youtube channel,youtube channel monetization,how to monetize youtube videos,youutbe monetization, what is youtube monetization,google adsense hindi training in india
No comments:
Post a Comment