Google Adsense se hum kitna paisa kama sakte hai?

Google Adsense se hum kitna paisa kama sakte hai?Dear friends ,Adsense me earning ka koi limit nahi hota hai lekin hamara earning bahut saare factors per depend karta hai : -

a) the types of ads appearing on your pages : - Agar aap apne site per Google ads show kar rahe ho to apko earning tab hoga jab apke site visitors ads ko click ya view karege.Apke website per jin advertiser ka ads show hota hai wo apne ads ko show karne ke liye bid karte hai aur jo win karte hai unka Ads hi first position ke liye select kiya jaata hai.Google apke website per wahi ads display karta hai jo apke website ke appropriate ho.


b) The pricing of ads appearing on your pages : - Jo ads aapke website per show hote hai unn sabhi ke price different hote hai.haan kuch ads aise hi ho sakte hai jinka price same ho lekin sabhi ke sath aisa bilcul nahi hota hai.Advertiser apne bajat ke anusaar apne ads ko select karta hai aur uske baad aapke website per ads display hote hai.Aapka earning tabhi jyada hoga jab jyada price waale ads aapke website per show ho.Ads ka price hamesha same nahi rehta balki time to time badalta rehta hai.

c) How many Adsense product you use : - Aapka adsense earning iss baat per bhi depend karta hai ki aap kitna type ke Adsense product apne site per use kar rahe hai.Aap jitna jyada adsense product use karoge utna jyada aapka earning hoga.Bahut saare adsense product hote hai for example : adsense for content, adsense for search, adsense for feed,adsense for game, adsense for mobile etc. Jitna jyada adsense product ka aap apne website per user karoge utna earning aapka jyada hoga.

Sabse accha tarika to yeh hai ki aap jald se jald Adsense ke liye apply karo aur apne website per Google ads rakh kar dekho ki aap kitna earn kar sakte ho.Google Adsense me joining bilcul free hai isliye apko sochne ka koi jarurat hi nahi hai.


Jab aap Google Adsense ke participant ban jaaoge to kisi bhi samay apne earning ko apne google adsense account me login kar ke check kar sakte ho.Aap dekh sakte ho ki aapke website per kitne click hue, kitne impressions hue ,clickthrough rate kya hai aur apna total earning bhi dekh sakte ho.Adsense ka report section apko ek accha idea dega ki Adsense program aapke liye kitne acche tarah se work kar raha hai aur sath hi aap yeh bhi jaan paaoge ki kitne samay me aap kitna Google Adsense program se earning kar sakte ho.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : how much earn from google adsense, earning google adsense, earning limit google adsense,i can earn from google adsense,adsense income from google adsense,learn google adsense, google adsense earning,video tutorial about google adsense earning, important information about google adsense earning,how to earn with google adsense , my friend earning with google adsense,google adsense earning from one day, one day google adsense income, one month google adsense income

No comments:

Post a Comment