Dear friends , Site
Authorization Google Adsense ka ek optional feature hai jiske dwara aap kisi
khaas sites ko Google Adsense code use karne ke liye permission dete hai.Agar
aapko lagta hai ki koi bhi person aapke Adsense code ko galat tarike se use kar
raha hai to aap Google Adsense ke site authorization feature ko use kar ke iss
se bach sakte hai.
Bahut saare aise
galat log hai jo aapke site ke adsense code ko galat tarike se use kar ke aapke
adsense account ko ban karwa sakte hai. Iss se bachne ke liye Site
authorization feature ko use kar sakte hai.
Site Authorization
ka option site management ke ander me hota hai.Jo bhi sites aap site
authorization list me add karte hai wo automatically aapke owned site me add ho
jaata hai.
Sites ko authorize
karne ke liye niche diye gaye steps follow kare : -
a) apne adsense
account me login kijiye
b) gear icon ko click
kare aur setting ko select kare
c) Sidebar me
“access and authorization” ko click kare
d) option “only
allow certain sites to display ads for my account” ko check kijiye
e) wo saare sites ke
url ko enter kijiye jisko aap authorize karna chahte hai aur uske baad save ko
click kijiye.
Yeh saare changes 48
hours me applicable hote hai.
Waise sites ka kya
hota hai jo aap authorize nahi karte ?
Jis website per
aapke Google adsense code hote hai lekin wo aapke authorized sites list me nahi
hote unn per Google ads to show hote hai lekin waise websites se aapko koi bhi
earning nahi hota hai.Waise website per click to record hota hai per earning
nahi hoti hai.
Agar aap Site
authorization feature ko enable karte hai to yaad rakhiye ki aapne saare
website ko site authorization list me add kar le.Agar aap apne sabhi sites ko
add nahi karege to jo site add nahi hota hai uss se aapko koi earning nahi ho
paata hai.Agar aap Site authorization feature ko enable kar rahe hai to iss
baat ka khyaal jarur rakhiye.
-----------
ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE
ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE
ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE
LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE
APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
tag : how to authorized sites to show google ads,authorized site, what is site authorization, how to authorize site in google adsense,site authorization tips
I am very thankful that I found such good content over the internet. Thanks for sharing such a well-written article. Gmail Support Phone Number and connect with the team of experts if you are facing any AOL and Gmail is sues.
ReplyDelete