Publisher question : - Youtube se payment kab milta hai?

Answer by Abhishek Anand – Yaad rakhiye youtube se payment lene liye apke pass ek Adsense account hona jaruri hai jo apke youtube se Associate hona chahiye.Apka youtube payment Adsense ke madhyam se hi milta Hai.Adsense account me aap apne youtube channel ka estimated earning nahi dekh sakte hai waha keval month ke end me finalized earning hi aap dekh sakte hai.Agar aap youtube ka estimated earning dekhna chahte hai to aap youtube analytic section me dekh sakte hai.Youtube se jo bhi earning apne kiya hai wo 10th se 15th ke bich har month apke Adsense account me credit ho jaata hai.
Jis month me bhi apka total earning $100 ho jaata hai uske next month me apko payment Google Adsense dwara transfer kar diya jata hai.India me Google Adsense wire transfer ke dwara apke bank account me fund transfer kar deti hai.Google Adsense apka payment 22th se 28th ke bich har month me transfer kar deti hai.Iske liye apka bank account details apko apne Adsense account me add kar ke rakhna chahiye.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : youtube adsense payment , youtube payment schedule,what is youtube adsense payment schedule

No comments:

Post a Comment