Dosto, Google se to
aap acche se parichit hai.Jo log bhi internet per surfing karte hai wo Google
ke baare me nahi jaane aisa to ho nahi sakta hai.Aap thora bahut hi sahi lekin
Google ke baare me jarur jaante hoge yeh mera yakin hai.Google ek respected
company hai jo hame bahut saare free online product provide karti hai aur jiska
fayda hum hamesha online lete rehte hai.for example : Gmail, youtube, Google
analytic, blogger etc.Google ke pass bahut saare apne free online products hai
jinka upyog bahut saare online user hamesha karte rehte hai.Main bhi bahut
saare Google products ka use karta hu. For example blogger, youtube, analytic,
webmaster etc.
Main apko aaj ek
aise opportunity ke baare me bataane jaa raha hu jiske dwara aap easily Google
jaise respected company ke sath online paisa kama sakte hai aur uske liye apko
kahi per bhi jaane ki jarurat nahi hai balki aap apne ghar se hi Google dwara
unlimited paisa kama sakte hai.Google company ka ek program hai jisko Google
Adsense bola jaata hai jo kaphi saalo se Google company ke dwara chal raha hai
aur aap easilily Google Adsense ke dwara unlimited earning kar sakte hai.
Waise to aap Google
Adsense ke dwara bahut saare tarike se paisa kama
sakte hai lekin abhi 2 tarike bahut hi famous hai : -
a) Website ya free
blog ke madhyam se
b) Youtube ke
madhyam se
Actually Google
company ke pass bahut saare advertiser ke product ka bahut saara ads hota hai
jiske liye Advertiser Google company ko bahut saara paisa pay karte hai.Google
ka kaam hota hai ki unke product ko ads ke madhyam se promote karna taaki
advertiser ke product ka sale jyada se jyada ho sake.
Ab Google ne humlogo
ko free me ek opportunity provide kiya hai
jiske madhyam se wo saare log apply kar sakte hai jinke pass khud ka
website , blog ya youtube channel hota hai. Iss opportunity ko Google Adsense
bola jaata hai.Google Adsense program ke kuch apne policy hote hai jo bhi
person inke policy ko follow karta hai unko Adsense ka approval mil jaata
hai.Yaad rakhiye apka website kuch iss prakar se bana hona chahiye taaki wo
Google Adsense program ke saare policy se comply kar sake tabhi apko Google
Adsense se approval mil paata hai aur aap Google company se earning kar paate
ho.
Google Adsense se
approval milne ke baad aap apne Adsense account se Ads code create kar ke apne
website placed kar sakte ho aur uske baad apke website per Google Ads show hona
start ho jaata hai.Jab jab apke website visitors Google ads ko click karte hai
revenue generate hota hai aur apko revenue generation ka ke bara bhaag Google
Company ke dwara provide kiya jaata hai.Apke website ke per jitna jyada traffic
hota hai utna jyada click generate hota hai aur utna jyada apko earning karne
ka mauka milta hai.
Thik issi prakar se
youtube ke sath bhi hota hai.Agar apke pass youtube channel hai aur usme accha
channel view hai to aap Google Adsense ke liye apply kar sakte hai aur ek accha
earning apne youtube video ke madhyam se kar sakte hai.Ek baar approval milne
ke baad apke youtube video per Ads aana start ho jaata hai aur aap apne video
visitor ke dwara Google Adsense se earning kar sakte hai.
-----------
ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE
ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE
ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE
LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE
APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE
tag : income from google company,you can earn from google company,online google company income,learn about google income,google adsense hindi tutorial
No comments:
Post a Comment