Google Adsense ke liye sign up kaise kare ?

Google Adsense ke liye sign up kaise kare ?Adsense ka approval process bahut saare steps me complete hota hai.Isme kuch steps Adsense complete karta hai aur kuch steps hame khud complete karne parte hai.Yeh steps niche diye gaye hai : -

a) Submit your Application : - Google Adsense ke sath success karne ke liye sabse jaruri baat yeh hai ki aapke pass ek content-rich website hona chahiye.Adsense ke liye apply karne se pehle aap yeh check kar le ki Aapke website per interesting aur original content hai ya nahi.Iske sath hi aapko bahut saare site visitors ki jarurat hai taaki log aapke website per ads ko dekh sake.Aap iss baat ko sunischit kar le ki bahut saare log aapke website ke baare me jaante ho.Uske baad hi aap apne site per Ads ko rakhe.


Adsenes ke kuch apne rule hai jiske dwara yeh decide karta hai ki kaun se content waale website acceptable hai.Iss rule ke baare jaankar jarur le.Agar aap Google adsense ke host partner sites (like blogger, youtube, or hubpages) ke member hai to aap unke website ke dwara hi Adsense ke liye apply kar sakte hai.Host partner se Adsense ke liye apply karne ka ek khaas tarika hai jisko aapko follow karna parta hai.

b) Verify your information : - Google Adsense ka application fill-up karte samay aapne jo information (Like your address, url etc) provide kiya hai usko Google check karta hai.Uske baad Adsense aapko mail karta hai aapke application status ke baare me.

Agar aapka Adsense application approved nahi ho paata hai to Google aapko ek mail karta hai aur yeh bataata hai ki aapka Adsense application kyu disapproved ho gaya hai.Uske baad aap kuch naye modification kar ke dobara Adsense ke liye application send kar sakte hai.

c) Place Ads on your site : - Jab Adsense team aapka information verify kar leta hai to uske baad aapko apne adsense account se Ad code create karna parta hai aur apne website per place karna hota hai.Yaad rakhiye website url wahi hona chahiye jo aapne Adsense application fill-up karte samay diya tha.Aap ussi Website per Ad code placed kare jasper traffic generate hota ho.

Aapne jis website per apna Adsense ad code rakha hai waha per aapko blank ad dekhne ko milega.Yeh aapke website ke review ka 2nd process hota hai.Yeh bland ad apko apne website per tab tak dikhega jab tak aapka Adsense account fully activate naa ho jaaye.Iske sath hi aap apne Adsense account ke top per red bar dekhege.Yeh red bar aapko yeh bataata hai ki abhi bhi apka Adsense account review process me hai.Matlab aapke website ka review process abhi bhi chaalu hai.

d) Review your account for approval : - Adsense ad code placed karne ke baad Adsense system automatically detect kar leta hai ki Aapne ab Adsense ad code apne website per daal diya hai.Uske baad Adsense automatically review ka second phase start kar deta hai aur yeh dekhta hai ki Aapka site Adsense ke saare policy ko follow karta hai ya nahi.Jab Adsense apna second review process complete kar leta hai to phir wo aapko ek email send karta hai aur yeh bataata hai ki aapke Adsense application ka status kya hai.Poore review process ko complete hone me 1 week tak lag sakte hai.

Agar aapka Adsense application approved nahi ho paata hai to aapko email kar ke disapproval ka reason bataya jaata hai jiske basis per aap aage ka kadam uthha sakte hai.

e) Approved account : - Uske baad aapka Adsense account fully approved ho jaat hai.Aap dekhege ki aapke adsense account se red bar remove ho jaata hai.Aapka Adsense account fully approved hone ke baad aap apne website per live Google Ads dekh paayege.

Main apko advice karuga ki Adsense ke poore jaankari ke liye aap Adsense Academy ka help jarur le jaha per aapko Adsense ke baare bahut saare acche guidance provide kiya jaata hai.



-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : how to google adsense sign up, what is g oogle adsense sign up, how to do google adsense sign up,video tutorial about google adsense sign up, how to perform google adsense sign up, google adsense hindi tutorials, google adsense hindi training in India,google adesense hind training in patna(bihar),sign up for google adsense, easy sign up for google adsense,

No comments:

Post a Comment