Kya hum ek se jyada Adsense account ke liye apply kar sakte hai?

Kya hum ek se jyada Adsense account ke liye apply kar sakte hai?Google Adsense policy ke according publisher keval ek Adsense account create kar sakta hai.Agar aapke pass ek se adhik Adsense account hai to dhyaan rakhe sabhi Adsense account me different payee name hone chahiye.Same payee name ek 2 ya 2 se adhik Adsense account nahi ho sakte hai.

agar aap multiple Adsense account ke liye apply karna chahte hai to Google Adsense ne aapke liye kuch guideline introduce kiya hai.Aap khud se choose kijiye ki kaun sa reason apke situation ko batata hai aur uske baad aap diye gaye instruction ko follow kare
: -

a) Agar aap apne existing adsense account ka Google account login change karna chahte hai

Iske liye aapke pass 2 tarika hai : -
1) Apne login ke liye aap dusre google account ko associate kijiye : Agar aapke pass Adsense ka administrator access hai to aap naye administrator ko invite send kar sakte hai.Aap jis Email id se Adsense me login karna chahte hai usko invite send kar de aur uske baad invite kiye gaye Administrator ke email id se login kijiye aur apne poorane waale email id ya administrator ko delete kar dijiye.

2) Apne Google account ko edit karek : - Aap apne Adsense account me login kar ke Emai id ya login ko change kar sakte hai.Yaad rakhiye yeh seva keval non-gmail address ke liye available hai.

b) Main apne existing account ko access nahi kar paa raha hu : - Agar aap apne existing adsense account me login nahi kar paa rahe hai to aapke liye troubleshooter ko design kiya gaya hai jo aapke login se related problem ko solve kar dega.Iske har step to aapse question pooch jaayega aur apko jawab dete jaana hai aur lastly apka problem troubleshooter ke dwara solve ho jaayega.

c) aap aur bahut saare sites apne adsense account me add karna chahte hai : - Aap iskie liye apne existing adsense ko use kar sakte hai.Aapke adsense account me “adding more sites” ka option hai waha per aap naye sites add kar sakte hai.

d) Mujhe apne business ke naam per separate Adsense account chahiye : - Agar aap apne business ke naam se ek aur Adsense account banana chahte hai to bilcul bana sakte hai.Yaad rakhiye Adsense ke liye application fill-up karte samay account type me apko appropriate account type choose karna hoga.


e) Mujhe aur bhi jyada reporting channel ki jarurat hai : - Google adsense hame apne account me maximum 500 custom channel ke facility provide karta hai aur maximum 500 Url channel ka facility provide karta hai.Url channel keval Adsense for content product ke liye available hota hai.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : multiple adsense account allowed or not, is multiple adsense account allowed, how can i create multiple adsense account , i want to create multiple adsense account , what is individual adsense account , what is buisiness adsense account , individual adsense account , buisiness adsense account,adsense account payeen name, payee name in the case of multiple adsense account

No comments:

Post a Comment