Google ne kaise Adsense payment ko bilcul transparent kar diya hai?

Google ne kaise Adsense payment ko bilcul transparent kar diya hai?Dosto abhi aapko jaankar khushi hogi ki Adsense ne apne payment ko bilcul transparent kar diya hai.Jab aap apne Adsense account me payment history ko check karoge to aap apne estimated earning aur final payment me difference ko dekh sakte ho.Pehle aisa possible nahi tha lekin ab hai.Estimated earning aur finalized earning me difference invalid activity ke chalte hota hai.Aapke site per kuch invalid activity se bhi earning hoti hai jinko finalized payment me remove kar diya jaata hai.for example accidental clicks jisko finalized earning ke samay deduct kar diya jaata hai.


Bahut saare log Google se hamesha yeh poocha karte hai ki estimated earning aur finalized earning me jo difference hota hai unke baare me aur bhi jaankari unko chahiye.Google ne May 2015 se payment history page me invalid activity se jo earning hoti hai unko bhi show karna chalu kar diya hai.Adsense ka payment ab transparent ho gaya hai.Ab aap apne paymente history me invalid activity se hone waale earning ko bhi check kar sakte hai jinko baad me deduct kar diya jaata hai.For example agar estimated earning $1100 hai aur finalized earning $1000 hai to ab aap apne adsense payment history me check kar sakte hai ki akhir $100 ka deduction kis invalid activity ke chalte hua hai.Biswas kijiye bahut saare log Google ke iss kadam se khush hai.

Agar aapke estimated earning aur finalized earning me bahut bara difference hai to aapko apne site ko ek baar review karna chahiye aur site ke traffic source ko bhi review karna chahiye.Invalid activity se bachne ke liye apne site ke uper special dhyaan dena jaruri hai.Agar aap apne site per kuch bhi aisa dekhte ho jo aapko invalid activity ke baare me batata hai to aapko turant Google ko suchna deni chahiye.

Main asha karta hu ki iss article ko read karne ke baad aap acche samajh gaye hoge ki Estimated earning aur finalized earning me difference kyu hota hai aur invalid activity per hame kaise control rakhna chahiye.




-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : transparency of google adsense payment, google adsense payment transparent, invalid payment in adsense, what is invalid traffic earning of adsense,What do mean by earning of invalid traffic in Adsense,invalid traffic earning in my adsense payment history page,invalid earning is showing in my adsense payment page,video tutorial about invalid earning in adsense,how to deduct invalid traffic earning from estimated earning in Adsense

No comments:

Post a Comment