Mera Adsense application disapproved ho gaya hai.Ab mujhe kya karna chahiye?

Mera Adsense application disapproved ho gaya hai.Ab mujhe kya karna chahiye?Agar aapka Adsense application disapproved ho gaya hai to sabse pehle aapko uss Email message ko check karna chahiye jisme aapko bataya gaya hai ki aapka Adsense application reject kar diya gaya hai.Uss mail me aapko disapproval ka reason jarur bataya gaya hoga.Reason jaanne ke baad aapko uske solution ke baare me sochna chahiye aur problem solve karne ke baad phir se dobara apne Adsense application ko re-submit karna chahiye.Niche me Adsense aaplication ke disapproval ke common reason ke baare me charcha karna chahuga : -


a) Contact details ya name me problem hona : - Sabse pehle aap www.google.com/adsense per jaakar ussi same email se sign in kare jo aapne Adsense application ke samay me use kiya tha.Sign karte hi aapka pehle submit kiya gaya form open ho jaayega jaha per aap apne Address details ko correct kar sakte hai aur dobara application ko resubmit kar sakte hai.

b) Website content me problem hona : - Sabse pehle aapko Adsense ke saare guideline ko follow karna chahiye aur yeh dekhna chahiye ki apka site Adsense ke saare policy se comply kar raha hai ya nahi.Aapko yeh yaad rakhna chahiye ki Google Adsense team saare pages ko review karti hai jo website aap submit karte hai.Kuch log yeh samajh lete hai ki Adsense  team keval Url page check karti hai jo hum submit karte hai lekin aisa bilcul nahi hai.Adsense team apke site ke saare page ko review karti hai jaha per aapne ad code implement kiya hai.Apne website k content ko adjust karne ke baad aap dobara apne application ko resubmit kar sakte hai.

c) Dusre email id se Adsense ka pehle se account hona : - Adsense ke policy ke according ek publisher keval 1 hi adsense account rakh sakta hai.Iss se related jo email aapko Google team ke dwara send kiya gaya hai usko review kijiye aur uske saare guideline ko follow kijiye.Agar aapn naya adsense account open karna chahte hai to aapko pehle old adsense account ko close karna hoga uske baad hi aap naya adsense account bana sakte hai.


Jin publishers ka account invalid activity ke chalte terminate kar diya jaata hai wo dobara phir se Adsense ka account nahi bana sakte hai Adsense term and condition ke anusaar.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : my adsense application disapproved,what i have to do if my adsense application is disapproved,Why my adsense application disapproved,Adsense application disapproval,reason for adsense applicatin disapproval,adsense application disapproval mail recieved,read disapproval  reason for adsense application in email you recieved,I have recieved Adsense disapproval mail from google,Why many times my adsense application disapproved,how to resubmit my adsense application after disapproval,can i resubmit my adsense application after disapproval,

No comments:

Post a Comment